March 26, 2008
Ghazal
ye baateiN haiN gar jhoothi, inheN jhoothi hi rehne do
hataaoge agar parda, to fir koi yaad aayega.
TaTolo mat koi kaaGhaz, ya koi kHat aNdhere meiN
meri aankHeiN jo bheegee to, har lafz ubhar aayega.
gujarta hai agar waaiz teri mehfil meiN baahar se
usse na kheeNch kar laao ye koi fariyaad gaayega.
ye Tapkati boond baarish ki meri aankhoN se bhi Tapki
chalo tadbeer karleiN kuch ye mausam fir bhigoyega.
sajaaye the kabhi hamne ye jugnoo, chaaNd , taare sab
chalo wapas kareiN ‘daanish’ inheiN koi aur sajaayega.
jaa koi dhhooNdh laa aashiq hameN kuch to tazurba hai
bataayenge usse ye ishq abhi kya gul khilaayega.
ye moti TooT kar bikhare ki teri aakhon se kuch chhalke
na koi farq hai mahsoos kya koi kuch bataayega.
hum to khush hain apne mein apni bhi ik duniya hai
batao na hameN ab sach ye aalam Toot jayega.
Nidhish Tripathi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
bahut sundar gazals likhte ho aap...
it's really all my pleasure to read ur blog.
gud job!
keep it up!
Post a Comment