September 24, 2007

Ghazal 1


gujrega waqt to le gujrega saBhi kucH

kucH lamhe meri muTHHi mein gun gunane ke liye hain.


betarteeb se biKhare hain to yateem hain saare

mere saNjoye kuch lafj apne fasaane ke liye hain.


na pooCHo kabhi mujhse ye KHatoN gulaab ke matlab

ye taNhaaee ke ahbaab iss diwaane ke liye hain.


bewajah CHHipate ho mujhse jisse taaUmr ‘daanish’

kah do wahi sab kuCH to bataane ke liye hai.


kaise tujhe bhoolooN aur kisko sazaa duN

ashQ meri aakhoN ke ghum jilaane ke liye hain.

Nidhish Tripathi

September 3, 2007

Ghazal

itne kisse itni baateiN tum kaise keh lete ho,

sooni raateiN bin ashqoN ke sab kaise sah lete ho.


gham ke dariyaa meiN doobaa huN tum jaisa andaaz nahiN

tum koi jaadoogar jaise oopar se beh lete ho.


maiN TooTa to jag meiN bikhraa jaise koi hosh nahiN

tum TooTe to moonNd ke aankhaiN bheetar se dhhah lete ho.


insaaN insaaN laR leta hun apne mazahab ki khaatir

kis mazahab ke tum insaaN ho chup kaise rah lete ho.


uss bacche ki aankhoN mein kal jo khoon utar aaya tha

chupke chupke daagh diloN ke tum kaise dho lete ho.


apne khaane meiN rah kar bhi mohre mohre khoob laRe

iss khaane se uss khaane tum kaise bach lete ho.

Nidhish Tripathi