Nidhish Tripathi
September 14, 2015
Joke कितना भी Funny हो
Nidhish Tripathi
October 10, 2008
Kuch TriveniyaN
मैंने नहीं कहा तुमसे, नीला रंग तुम पर कितना फबता है
परसों वाली नीली साड़ी तुमने आज फिर पहन ली है
शायद तुमने कल फिर मेरी डायरी पढ़ी है ......
-----
टाई, जुराबे, रुमाल, जान - बूझ कर भूल जाता हूँ
कुछ चीज़ों के सहारे मैने तुम्हे अपने करीब रखा है
अरे सुनो!! मेरी कमीज का बटन आज फिर टूट गया है .......
-----
तुम्हे तो ठीक से रूठना भी नहीं आता
कल बिगड़ी थी, आज फिर बतियाने लगी हो
बिछड़ के हाल तुम्हारा भी मेरे जैसा है .....
-----
तुमने देखा और फिर इस कदर देखा
कि जैसे कुछ नहीं देखा
तुम अजनबी के किरदार में भी फेल हो गए ......
-----
खुल के जूडे से काँधे पे बिखर जाती हैं
गुंथ के चोटी में घटा कैसे संवर जाती हैं
और मैं चातक सा, कब से इंतज़ार में हूँ बारिश के ......
-----
मुस्कुराये, बात की, हाल -चाल पुछा
बाते इधर -उधर की , घर की, दफ्तर की
चलो एक और काम ख़त्म हुआ .....
-----
स्कूल कि किताबो कि रद्दी पिताजी ने आठ रुपये में बेच दी
वो आठ रुपयों का हिसाब मैं आज तक नहीं लगा पाया हूँ
जब भी खोली थी किताब तेरा ही अक्स पाया था .....
-----
अतीत!!शाम हुई, चलो, साहिल तक टहल आयें
तुम्हे फिर समंदर में डूबा आऊंगा
तुम्हारी यादों का पुलिंदा बड़ा भारी है......
-----
'अगले चौराहे से दाहिने हाथ पर तीसरा मकान'
वो बेचारा पूछ रहा था अपना घर
NRI है, कल परदेस से लौटा है....
-----
सुबह का अखबार, शाम कि सिगरेट, रात में डायरी,
मुझे अक्सर घर में खोये हुए से लगते हैं
उफ़ !! तुम्हे तो हर चीज़ में सौत नज़र आती है.....
-----
April 5, 2008
jab koi young hota hai
Physics kahta hai har astitva taraNg hota hai,
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
blood mein hemoglobin aur pattiyoN meiN chlorophyll,
masterji theek hai, kaaran haiN raNg ke,
without litmus test, humko batao tum,
chehra kissi gori ka kyuN laal raNg hota hai.
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
Interference hoga, spectrum naya milega,
ye dil bagair prism satraNg sa khilega,
chumbak ka khel saara humko pasaNd hai,
sir aapki umar meiN ab kon daNg hota hai,
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
frequency tere dil ki dil se mere milegi,
resonance hoga, ik peak bhi milegi,
fir ishq ye hamara oochaiyaaN chaDega,
na frequency natural ho to, dil khaNd-khaNd hota hai
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
north-south milne se behta current hai,
masterji theek hai, ye baat hai purani,
ye peedhhi nayi-naveli, badle haiN isne dhhaNg,
same pole ho kar bhi flow current hota hai,
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
physics kahta hai har astitva tarang hota hai
ye pata to tab chalta hai jab koi young hota hai.
Nidhish Tripathi
April 2, 2008
Ishq meiN ladki
Kuch chahakati kuch mahakati si chali hai
Ishq mein ladki bahakati si chali hai
Kuch to poochho, kuch kaho, aawaaz do,
Khilkhilaane ka bahaana chaahti hai.
aur apne ko sajaana chaahti hai.
Koi laT fir apne gaaloN par gira kar
ChaaNd ko fir ek badali mein chhipa kar
aaiine ko bhi lajaana chaahti hai
aur apne ko sajaana chaahti hai.
aNg se bahane laga hai geet ab to
mil
baaNdh ke choonar meiN apni raNg saare
titliyoN ko bhi haraana chaahti hai.
aur apne ko sajaana chaahti hai.
Bewaqt aur bin baat koi haNs paDegi
aur takiye se kabhi barbas laDegi
ho gayi aankhoN se baateiN ab shuru
ab zubaaN se kya chhipana chaahti hai.
aur apne ko sajaana chaahti hai.
Kuch chahakati kuch mahakati si chali hai
Ishq mein ladki bakahati se chali hai
Kuch to poocho, kuch kaho, aawaaz do,
Khilkhilaane ka bahaana chaahti hai.
aur apne ko sajaana chaahti hai.
Nidhish Tripathi
March 26, 2008
Ghazal
ye baateiN haiN gar jhoothi, inheN jhoothi hi rehne do
hataaoge agar parda, to fir koi yaad aayega.
TaTolo mat koi kaaGhaz, ya koi kHat aNdhere meiN
meri aankHeiN jo bheegee to, har lafz ubhar aayega.
gujarta hai agar waaiz teri mehfil meiN baahar se
usse na kheeNch kar laao ye koi fariyaad gaayega.
ye Tapkati boond baarish ki meri aankhoN se bhi Tapki
chalo tadbeer karleiN kuch ye mausam fir bhigoyega.
sajaaye the kabhi hamne ye jugnoo, chaaNd , taare sab
chalo wapas kareiN ‘daanish’ inheiN koi aur sajaayega.
jaa koi dhhooNdh laa aashiq hameN kuch to tazurba hai
bataayenge usse ye ishq abhi kya gul khilaayega.
ye moti TooT kar bikhare ki teri aakhon se kuch chhalke
na koi farq hai mahsoos kya koi kuch bataayega.
hum to khush hain apne mein apni bhi ik duniya hai
batao na hameN ab sach ye aalam Toot jayega.
Nidhish Tripathi
September 24, 2007
Ghazal 1
kucH lamhe meri muTHHi mein gun gunane ke liye hain.
betarteeb se biKhare hain to yateem hain saare
mere saNjoye kuch lafj apne fasaane ke liye hain.
na pooCHo kabhi mujhse ye KHatoN gulaab ke matlab
ye taNhaaee ke ahbaab iss diwaane ke liye hain.
bewajah CHHipate ho mujhse jisse taaUmr ‘daanish’
kah do wahi sab kuCH to bataane ke liye hai.
kaise tujhe bhoolooN aur kisko sazaa duN
ashQ meri aakhoN ke ghum jilaane ke liye hain.
September 3, 2007
Ghazal
itne kisse itni baateiN tum kaise keh lete ho,
sooni raateiN bin ashqoN ke sab kaise sah lete ho.
gham ke dariyaa meiN doobaa huN tum jaisa andaaz nahiN
tum koi jaadoogar jaise oopar se beh lete ho.
maiN TooTa to jag meiN bikhraa jaise koi hosh nahiN
tum TooTe to moonNd ke aankhaiN bheetar se dhhah lete ho.
insaaN insaaN laR leta hun apne mazahab ki khaatir
kis mazahab ke tum insaaN ho chup kaise rah lete ho.
uss bacche ki aankhoN mein kal jo khoon utar aaya tha
chupke chupke daagh diloN ke tum kaise dho lete ho.
apne khaane meiN rah kar bhi mohre mohre khoob laRe
iss khaane se uss khaane tum kaise bach lete ho.
Nidhish Tripathi